Yaad Aaya

Insomnia_by_svghnsydn

Dil thaam ke dekha jo, toh kuchh yaad aaya,

Muddat hui  ki zamaane ko main yaad aaya,

.

Umr se majbur hu, ke kuchh yaad rehta nai,

Main jo bhulta gaya, tumhe wo yaad aaya

.

Chehre ki muskaan, aankho ki narmi dekh aaj,

Na jaane kyun, wo pusht pe khanjar yaad aaya,

.

Zindagi se rooth kar, socha ke chhoot jaaun,

Ke phir Maa ki aankho ka wo khwaab yaad aaya

.

Lab e baam phir aarzoo hai, girne ko beqaraar,

Rago me khushki  magar phir ubaal yaad aaya

.

Us jaa khade ho tum, bewafaayi ke lab liye,

Is ja, lab par tabassum,  wa’ada-o-imaan  yaad aaya

.

shab ka taqaaza hai, warna shaayar nahi ashhar,

aankho ko phir  yoon bekhwaabi ka aalam yaad aaya